Saturday, January 29, 2011

Uljhan

Sanjona humari kismet mein kahan. Roz jugado, roz khao. Aaj phir bhookh lagi thi. Aur mein bahein faila, daane ko talashti, aasman mein mein udd rahi thi. Parwat, khali zameen, dhoop, saab mujhe nirash kar rahey they. keh rahey they, aabhi bahot rasta tey karna hai. Badhe chalo.

Aur mein hawon ke garm thapedo ke bawjood udti rahi. Peher ke saath jaise neeche ki zameen bhi thoda-thoda badalne lagi. Khali, banjer zameen ki jagah aab har-bhare maidan chal rahey they. Par mera toh dil aa gaya gehu se lehrati fasal par. Dil ne kaha - hai, aaj toh yahin dera jameyege shaam tak! Par ko bhi thoda arram mil jayega, shaam ko ghar ki uddan se pehle.

Apni khushkismati par itra hi rahi thi ki nazar aaya ek tainaat pehredaar. Faslon ke beech aise khada tha, mano paas jate hi bhaga dega. Aab maan hi maan ladai ho gayi - daar aur bhookh mein. Daane ke nazdeek jaati, par daar bhook par haavi ho jata. Badi jado-jehat ki. Kambakth apni jagah se hilne ka naam bhi toh nahi le raha tha woh.

Dimag khuda se shikayat karne laga. Asman mein fasal kyun nahi ugate? Aur woh jab humare yahan asman mein aate hai - kabhi plane se, kabhi parachute se, aur kabhi patang udda kar hum mein disturb karte hai, hum bhi apna chaukidaar khada karte hai kya wahan pe??? Phir insaan itna insane kyun hai? Nahi samajhta kya, ki bhala hum apni bhookh kaise mitayenge?

Dekha khuda bhi aaj sun-ne ke mood mein nahi tha. Aab toh khud ki himmat ka hi asra tha. Daane-daane ke liye bilakhta maan, aab jaise daar ki unsuni karna chahta tha. Baas nazar jamaiye maine toh ki bayein se attack kar diya. Aur dil ki dhadkano se tez udd chali.

Nazar pehredaar pe aur mooh khane pe jameye rahi. Laga aabhi kadam badhayega who. Udd gai. Phir hamla kiya. Ankhein toh dushman par hi rahi lekin na jane kyun iss baar thoda kum daar laga. Par dushman ne iss baar koi harkat nahi ki. laga, bechare ki aankh lag gayi hogi. Meri toh lottery nikal padi. Pet bhar khaya. Aur udd chali, paas ke kisi chaaya dara ped par dopehar ki neend pakane.

Abhi zhapki aayi hi thi, ki na jane kyun mujhe uss pehredaar ki fikr satane lagi. Kahin uska malik nikal toh nahi dega, naukri pe woh so jo gaya. Uper se maine bhi apni bhookh ka atank wahin shant kiya. Socha, huh! mein kyun fikr karu? Akhir dushman hai woh mera. Agar jagta toh mujhe khana kaise naseeb hota? Soocha, ek neend ki zhapki le lu. Lekin aab toh haad hi ho gayi. Uss pehredaar ki fikr mein need hi udd gayi jaise. Ouff!

Wapas ussi khet pe jana bada jayaz tha phir toh. Socha usse utha kar hi shayad aab mujhe neend ayegi. Iss baar neeyat nek thi issiliye ja kar kandhe par hi baithi uske. Daar toh jaise hawa mein kahi fuuuur ho gaya.

Hai tauba, yeh toh uth-ta kaise? Putla tha! Hey bhagwan, insaan kaisa hai! Apni biradari ko ullu banata hai so banata hai, humein bhi nahi bakhsta.

Aab soocha ghar hi chalu. Aaj ke liya kaafi sabak mil gaya tha. Rasta lamba tha, aur mere paas bahot waqt. Sooch rahi thi, bekar hi mein uss bejan putle se daarti rahi. Jab samna karne ki sooch lo toh nishchay hi jeet jate hai hum. Aur daar? Kai baar toh hum hi usse rai ka pahad baana lete hai!

No comments: